Monday, December 10, 2007

Sher-O-Shayari

Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!

Har kali tujhse khushboo udhar mange....
aftab tujhse noor udhar mange.....
rab kare tu dosti aisi nibhaye ke log teri dosti udhar mange.
kehte hai gam baatne se hota hai kam,
aisa hi kabhi pele maante the hum,
tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas,
wo bhi baat du to rahega kya mere paas

Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?
Tumko chahne wale kam na honge,
waqt ke sath magar ham na honge,
apna pyar chahe kisi ko bhi dena,
par teri yaad ke hakdar ham hi honge.

Har phool khusbudaar nahi hota,
har pathar chamakdar nahin hota;
dosti dekh kar karna dost,
kyonki har dost humsa dildar nahin hota.
Koi aankhon - 2 se baat kar leta hain.
Koi aankhon - 2 mein mulaqat kar leta hai.
Bada muskil hota hai jawab dena
jab koi khamos rehkar sawal kar leta hai.

Who aate to hain magar tan se nahi,
who bhethe to hain magar man se nahi,
kaun kehta hai I who pyaar nahi karte,
karte to hain magar humse nahi.
Kaash dil ki awaz mein itna asar ho jaaye ki
hum aapko yaad kare or aapko khabar ho jaaye,
aaj rab se yahi dua hai meri ki
jise aap chahe who apka HUMSAFAR ho jaaye.

Hum Kabhi aap se Khafa ho nahi sakte,
Yeh Dil ke Rishtey Bewafa ho nahi sakte,
Aap bhale hameh bhulake so jao,
Hum aapko yaad kiye bina soh nahi sakte.!!
Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota,
har musafir zindagi ka sahara nahi hota.
Milte hain bahut log is tanha zindagi mein
par har koi tum sa pyara nahi hota.

Chand ke liye sitare anek han,
lekin sitaron ke liye chand ek hai.
Aapke liye to hazaron honge,
lekin hamare liye aap hi ek hain.
Kanto ke badale
phool kya donge ,
aansu ke badale
khushi kya donge,
hum chahte hai
Aapse umar bhar dosti ,
hamare is saval ka
javab kya donge.....

Har Nazar me ek Kashish hoti hai,
Har Dil me ek Chahat hoti hai,
Mumkin nahi har ek ke liye TAJ MAHAL banana,
Kyunki har dil mein 4 -5 MUMTAJ hoti hai.
Aap har manzil ko mushkil samajhte hain ,
Hum Aapko manzil samajhte hain ,
bada fark hai Aapke AuR Hamare
nazariye mein ,
Aap hamein Sapna, AuR Hum Aapko
Apna samajhte hain....

Dur hote huve bhi
Dosti ka Rishta nibhate hai aap,
Na jane kyun Dil ko lubhate hai aap,
Yeh kaisa karishma hai aap ka,
Jo hum ko itna yaad aate hai aap.
Tammana umar zindagi se dur rahe,
Teri Khushi ke liye apne khushi se dur rahe,
isase bada wafa ki saza kya hogi,
tere ho kar bhi hum tumse dur rahe...

khushbu ki tarah apke pas bikhar jayenge
sukun bankar dil me utar jayenge
mehsus karne ki koshis karna
dur hote hove bhi pas nazar aaynge
Pyar nahin karna tha humse,
dillagi to na ki hoti,
ae bewafa beech samundar mein lakar mara,
ek kashti to di hoti.

Arz kiya hai...
Moorkh tha Shahjahan jo kar gaya kharcha
itna taj par,
har roj nayi mutaz aa jati us kharche ke byaj par... wah wah
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye...
marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.

Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata,
dil mein lagi aag ko bhujaya nahi jaata,
Kitni bhi doori hoe dosti me,
aap jaise dost koe bhualaya nahi jaata.
Har karz dosi ka,ada kon karega,
jab hum he na rahe to dosti kon karega!!
Hey khuda mere dosto ko salmat rakna
varna mere jeene ka dua kon karega!!

Yaad karte rain yaaron ko, yaadon se dil bhar aata hai,
kabhi saath jiya karte thesab,
aaj milne ko dil taras jata hai...
Dil ko dhadkna tune sikhaya,
Dil ko tadapna tune sikhaya,
aankhon mein aansoon kahin chupe the,
unko jhalakna tune sikhaya.

Ankho me aansu aa jate hai,
phir bhi labo pe hasi rakhni padti hai,
Yeh mohobbat bhi kya cheez hai yaarro,
jisse karte hai usise chupani padti hai
Chahne se koi cheez apni nahi hoti,
har muskurahat khushi nahi hoti,
Kehna to Chahte hai bahot kuch magar,
kabhi alfaz to kabhi zuban sath nahi hoti..

Har ek muskuruhat muskan Nahi hoti,
nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti,
aansu gam ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
inki pehchan aasan nahi hoti...

Kaun rakhta hai yaad namo ko
Log chehre tak bhul jate hai
Tum samandar ki baat karte ho
Log aankho me dub jate hai

mere andaaz wo samajh naa sake,
mere jazbaat wo samajh naa sake,
wo samajh naa sake meri majbooree,
mere haalaat wo samajh naa sake...
Unhe Chahna hamari kamjori hai..
Unhe keh nahi pana hamari majburi hai..
Voh kyo nahi samjte hamari khamoshiya ko
Kya pyar ka izhar karna jaruri hai ?

Suni Jindagi me halchal si mehsoos hui
Bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui
Jane aaj kyu aisa laga
Shayad aapki kami mehsoos hui
Kabhi Kabhi teri palkon pe jhilmilaaun mein,
Tu kare intzaar aur na aau mein,
Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost,
Tu kahe to kinare pe doob jaau mein

har raat ki subah ho ye jaruri to nahi,
har gum ke baad khushi ho ye jaruri to nahi,
khatt to sabhi mile hai apke per,
har khatt ka jawab ho ye jaruri to nahi..
Jo palpal chalti rahe, use zindagi kehte hai,
jo harpal jalti rahe, use roshni kehte hai,
jo palpal khilte rahe, use mohabbat kehte hai,
jo saath na chode, use dosti kehte hai

Wo kare shikwa tum karo shikayat ye to pyar nahi,
ager kar sako to karo itna ki kabhi pyar me koi gila na rahe,
har zakhm ko sah lo hans kar tum,
magar dilme koi gam na rahe.
Sitaaron ki pehchaan chand se hoti hai,
phoolon ki pehchaan uski khushboo se hoti,
per ai dost apni pehchaan,tumhari dosti se hoti hai,

zindegi terebina adhura hai.najane q teremere beech meinye doori hai. sochta hun kabhi bhuladun tujhko.per tera ek muskan meri kamjori hai

Ram ne Dhanush Toda,
Sita Daud Ke Aayi.
Kishan Ne Bansuri Bajayi,
Aur Radha Bhag ke chali Aayi.
Aur Humne sirf Siti Mari,
Sali Baap ko Le Aayi.

Aapki Khushi se nahi gham se bhi risha hai mera,
Yeh jo aapki zindagi hi woh ek hissa hi mera,
Ae dost apse lafzo ka nahi,
Dil se rishta hai mera.
Tum kya kisike dil ke humdard banoge Tum to uske dil ko aur dukhaoge
Tum kya kisiki Tanhaiyan mitaoge Tum to uski mehefilen bhi ujadoge HUM
TO BASAYE BAITHE THE TUMEN DIL MEIN APNI DHADKAN BANAKE KYA KHABAR THI
HUMMEN KE TUM SENE MEIN KHANJHAR GHOP KE JAOGE :( !!

Bole wo DOSTI,
Chup rahe wo PYAR.
Milaye wo DOSTI,
Juda karaye wo PYAR.
Hasaye wo DOSTI,
Rulaye wo PYAR.
Phir bhi log DOSTI chhod kr kyun karte hai PYAR???
nazar mein shokhiyaan hai,aur shararat hai,
har adaa masoom laboo per muskhurahat hai,
ghaneri reshmi zhulfae,cheraha chand ka tukdaa,
khile phool sa mehka sabab hai unka,
nazar woh pher lete to,andhera gheer jaate hai,
rubroo hote to nazare jagmagaate hai....

mat karo woh wada
jase tum nibha na shoko
mat karo pyare jase tum paa na sko
pyare kha kiseka pura hota hi
pyare ka akshar hi adhura hota hi
Sham dhali, raat aayi
Dil dhadka - Fir Tumhari yaad aayi.
Aankho ne mehsus kiya us hawa ko - jo tumhe chukar hamare pass aayi.

Aapki Mehfil ka mausam suhana lage,
ek pal chura lu agarbura na lage,
aap hame mil kar bhul jaoge, par aapko bhulane me shayad jamane lage.
Maut nahi ham Jindagi se darte hai,
Mehfil nahi ham khud se darte hai,
Yun to bahot kuch khoya hai hamne jindagi me,
Zane kyo aap ko khone se darte hai...

Umeedon ke sahare jiye ja rahe hai,
tera naam lab se liye jaa rahe hai,
ek tum ho ke aane ka naam nahi lete,
ek hum hai ki intezar kiye jaa rahe hai...
Yun to Aapko roz yaad kiya karte hai,
Man hi man me dekh liya kate hai,
Kya huaa agar aap paas nahi aate,
Hum to dil hi dil me mulakat kar liya karte hai.
Dil se...

kya aalam, kya nazaara
kya masti,kya badal
yunhi tumhe dekhta raha to
ho jaoonga main paagal.
Raat kya dhali , sitare chale gaye
Gairon se kiya gila ,to apne chale gaye
jeet to sakte the hum ishq ki baazi ,
par aap jit-te gaye hum har-te chale gaye !

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain......
Darte Hain Aag Se, Kahin Hath Na Jal Jaye.....
Darte Hain Waqt se, Kahin Der Na Ho Jaye...
Darte Hain Maut se, Kahin Hum Bichadd Na Jayen...
Darte Hain Aapse, Kahin Pyaar Na Ho Jaye...........

Na chaho kisiko itna ki chahat tumhari majburi ban jaaye,
Chaho kisiko itna ki tumhara pyar uske liye jaruri ban jaaye.
Yaad karte hain aapko tanhai mein,
Dil dooba hai ghamon ki gherai mein,
Humein mat dhoondo duniya ki bheed main,
Hum milenge aapko apki parchai main.

Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki...
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki hadh thi;
Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki hadh thi;
Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki hadh thi..!

Humne khuda se dua maangi,
dua mein apni maut maangi,
khuda ne kaha:use kya doon jisne dua mein teri lambi umar maangi
kuch khwab khwab reh jaate hai
kuch sapne adhure reh jaate hai
chahat ka wada wafa ki kasmein
kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai
tujhse milna tujhe paane ki aarzoo
kuch khwahishein hasratein reh jaati hai
tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe
maazi k faqt yaadein reh jaati hai.

Suraj se kaho chamakana chod de,
sitaro se kaho timtimana chode do,
Tum milne nahi aasakte ho to,
apni yado se kaho ki yun satana chod de.
Pane se khone ka maza aur hai,
Band ankho se dekne ka maza aur hai,
asu bane lafz aur lafz gazal,
teri yadon ke sath
JINE KA MAZA KUCH aur hai.

Hoti nahi MoHaBBat surat se,
MoHaBBaT to dil se hoti hai,
surat unki khud hi pyari lagti hai,
kadar jinki dil me hoti hai.
Itne karib aye ke dur ho gaye,
Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye,
Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya,
tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
(From: Ashutosh)

Nadiyon se kinare chhut jate hai,
Asman se tare tut jate hai,
zindagi ki rah me aksar aisa hota hai,
jinhe ham chhate hai,
wahi hum se ruth jate hai.
(From: Ashutosh)

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

In Hi Patharon Pe Chal Ke, Aaa Sako To Aao
Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi
Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan
Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo


Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se
Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay
Hum the chaand ke nazaare main khoye hue
Bus achanak chand ka abba wahan pe aa gaya

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe
Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain


Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega


Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain


Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Yeh Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum


Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Kalam uthai hai lafs nahi milta,
jisko dhund rahe hai wo shaks nahi milta,
firte hai wo zamane ki talash me,
bus hamare liye he unhe waqt nahi milta


Chirag se andhere door ho jate,
to chand ki chahat kise hoti,
kat sakti akele yen zindagi to
dosti naam ki ye cheez hi kyo hoti?
Ek din hamare aansoo hum se pooch baithe,
hame roz roz kyu bulate ho?
Humne kaha, hum yaad unhe karte hai,
tum kyo chale ate ho?

Zindagi ek chahat ka silsila hai,
koi mil gaya to koi bichad gaya,
jinhe manga tha duvao mein,
voh kisi ko bina maange mil gaya.
Ankhon ki zuban woh samajh nahi pate,
hooton se hum bhi kuch keh nahi pate,
Apni bebasi hum kis tarah kahe,
koi hai jiske bina hum reh nahi pate.

Aasu ko aankhon ki dehliz par laya na karo,
Aapne dil ka hal kisiko bataya na karo,
Log muthi mein namak liye goom rahe hai,
Apne zakhm kisiko bataya na karo
Aankhe kholun to chehra uska ho,
Aankhe band karu to sapna uska ho,
mar bhi jaau to koi gam nahi, Agar...
kafan ke badle dupatta uska ho!

Tu door sahi par tera aahsas he,
teri aawaz na sahi par tera aagaz he,
tu har pal mere saath he,
tuze bhulana shayad mumkin nahi,
kyunki tu har waqt dil ke pass hai!

1 comment:

MeriFain said...

You've got supplied us with an exquisite submit by penned this. When you have any problems related to click speed, I suggest that you read this article Click Speed Test.