Monday, December 10, 2007

Sher Shayari 4

Khat likh raha hoon khoon se,
Siahi mat sanajhna.
Khat likh raha hoon khoon se,
Siahi mat samajhna.
Kisi mariz ka SAMPLE liya tha
Mera mat samajhna.

Botal chhupa do kafan mein, kabar mein piya karunga,
jab mangega hisab khuda to peg bana ke diya karunga
tusi bade hi great ho mantri ka hat ho ,kirno ki tarah bright ho ,rasgule ki plate ho jo bhi ho mere favourite ho

Ek ladki thi dewani si. Mob lekar chalti thi, nazre jhukake, mob mein kuch karti thi. Jab bhi milti thi mujhse, yehi pucha karti thi... Ye chalu kaise hota hai?
Gul gaye gulshan gaye, gul ke patte rah gaye, saare shayar mar gaye padhne wale rah gaye

Din mein diya jalane se kya,
Raat mein diya bujhane se kya,
e shahjahan tujhe mumtaz nahi mil sakti,
Kabr par taj mahal banane se kya.
Khud ko kar buland itna ki HIMALAYA ki choti pe ja pahunche,
Khud ko kar buland itna ki HIMALAYA ki choti pe ja pahunche,
khud khuda bhi bande se puchhe...
"Abe gadhe ab utrega kese".

Chand par kaali ghata chati to hogi, sitaron ko muskurahat aati to hogi, tum lakh chupao duniya se , magar akele mein tumhe apni shakal par hansi aati to hogi.
tum aa gaye ho , noor aa gaya hai chalo teeno movie chalen

jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu. magar teri bahti hui naak ne iraada badal diya
Maine tujhe sau-sau khat likhe,tune kisi kabhijawabnahi diya;kahintere dil mein raddi ki tokri to nahi?

Woh chham chham karke aayee Aur chham chham karke chalee gayee Main sindoor ka dibba lekar khada raha Woh Rakhee bandh ke chalee gayee.
Jee karta hai ki teri nili nili aankhon main dub jaoon Jee karta hai ki teree nili nili aankhon main dub jaoon Splash !

Yeh aankhen hai ya neeli jheel? Yeh aankhen hai ya neeli jheel? So? What's the big deal?
Gum woh cheez hai. Gum woh cheez hai. Jisse kagaz chipkaye jaate hai.

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi joshh ke sath ! Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shhor ke sath ! ab hum pyar karenge badi soch ke sath Kyon ki use kal shamko dekha kisi aur ke sath !
lal diwar par chune se likha tha ghalib ne lal diwar par chune se likha tha ghalib ne yahan likhana mana hai.

TERI JULF HAI YA ANDHERI RAAT KA SAAYA TERI JULF HAI YA ANDHERI RAAT KA SAAYA SAR MUNDWA LE TO SAVERA HO JAI.
woh sadak ke is paar thi hum sadak ke us par the kuch hum aage badhe, kuch voh aage badhi hum kuch aur aage badhe, voh bhi kuch aur aage badhi hum kuch aur aage badhe, voh bhi kuch aur aage badhi ab hum sadak ke us par the, aur voh sadak ke is par thi

Main hu yahan, tu hai wahan Main hu yahan, tu hai wahan Lifeboy hai jahan, tandurusti hai wahan wah! wah! wah! wah!
Bakari chadhi pahad par , pani peene ko Bakari chadhi pahad par , pani peene ko pani mila nahin, bakari neeche ootar aayee wah! wah! wah! wah!

Maine tujhse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita Maine tujhse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita Sin theta by cos theta is equal to tan theta wah! wah! wah! wah!
kaaash ke tere chehre par Chickenpox ke daag hote. kaaash ke tere chehre par chickenpox ke daag hote. chand to tu hai hi sitaare bhee saaath hote !!!

ladka bola : kash ein hasinao ke baap mar jate, bahana gam ka hota, hum inke ghar to jaate. Ladki boli: Bewkoof, Yeh sochana bhi paap hoga, kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga. Irshaad! Irshaad!
Ladki boli: Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi, Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi. Ladka bola : Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga, Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga. Irshaad! Irshaad!

Bewafa sanam se to cigrattee achi hai, Bewafa sanam se to cigrattee achi hai, Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai
This is the Very special. Before Marriage Takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon lekin mumtaz nahi milti
After Marriage takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon lekin mumtaz nahi marti. Wah! Wah! Wah! Wah! Talia...... Talia.... Irshaad!!!

Apple Kat ta hoon knife se, Paani peeta hoon pipe se, Kya zamana aaa gaya, Joote khata hoon wife se.
Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye

Use karte hein make-up ka daba roze kiyun? Ban sanwar kar nikalte hain chailaa roze kiyun? Mummy tum to kehti thee Eid to kab kee gaye Phir Parosan se gale miltay hain Papa roze kiyun?
Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon Aaati hai to aaa ja, ya kisi aur ko pataooon

Gul gaya, Gulshan gaya, Gaye honthon ki laaali Ab to peeecha chor de, main ho gaye bachchon waali
Chandni raat thi, main so rahi thi Phir kisi ne darwaza khutkhataya Maine soncha mera dil aaya Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya

Maine tujhe dekha Dekhta raha, Dekhta hi gaya Phir mujhe chashma lag gaya
Patharr kyun marte ho, pura pahaar maar do Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do 30)Yeh tera chehra hai, yaa kele ka chhilka Jo dekha to, dil phisal gaya

Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samjhna Lar Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na Samajhna
Khud ko kar buland itnaa.. Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche.. Aur khuda tumse puche.. 'Abe gadhe... ab utrega kaise '

Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge
Industrian sari mere yaar khaa gaye Meri Sari jaydaaad rishtedar khaa gaye Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating banaye mazar to minaar kha gaye

(you will enjoy this one if you remember the "Soldier" movie's title song) Soldier Soldier.....pressure cooker khol kar Sabzi meri uraa le gaya
Kutta ban gaya hoon tere pyaar main yakeen nahin aata to suno...Bhow..bhow

Dil Logi, Ke Jaan Logi Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi
Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai

Tairna Hai To Paani Main Aao, Kinare Pe Kya Rakha Hai Ishq Karna Hai To Bahar aa, Ishare main Kya Rakha Hai (another version)
Terna hai to beach me aao, Kinaro pe kya rakha hai, Pyaar karna hai to bahon me aao, isharo me kya rakha hai.

Janaza Mera Nikla, Duniya Dekh Ne Nikli Magar Woh Zalim Na Nikli, Jiske Liye Mera Janaza Nikla
Maine tujhe pyar kiya, Saraswati samajh kar Tere Baap ne mujhe pita, Agarbatti samajh kar

Teri Beauty Ne Mujko Appeal Kiya, Dusri Ko Reject Kiya, Aur Tisri Ko Select Kiya.
Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal, Kitne khush-naseeb hain vo choohe Jin hon ne kutre tere baaal

Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon
Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel So my darling ... What's The Big-Deal ??

Sheeshi bhari gulab ki, phatthar se phor doon Pant wali mil jaye, to ghanghre wali ko chor doon
Teri julf kya hai raat ka saaya hai Sar muda deeya to sawera ho jayega.

Tere ishk me janam kya se kya haal ho gaya Badan se badboo aa rahee hai, nahay jamana ho gaya.
Chaand ki raton mei sara jahaan sota hai, Lekin teri yaadon mei koi badnasib rota hai.

Phool Khilte Hain, Khil Kar bikhar jate Hain, Phool Khilte Hain, Khil Kar bikhar jate Hain, Yaade to dil me rehti hai, Dost mil kar bichad Jate Hain!
Aasman se gira ek chaand ka tukda, Usse bhi sundar aapka mukhra.

Na jina mila na marna mila, Mila to teri yaad me tarapna mila.
Dil Diya to, jaan bhi de dena, Magar yeh yaad rakhna, Kisiko dhoka mat dena.

Khile hai gul yaha, khilke bikherne ko, Milte hai dil yaha, milke bicharne ko.
Dilme yaado ki tarha, aankhon me aansu ki tarha, Tum mere paas ho, phoolo me khushbu ki tarha.

Khuda kisiko kisiki Muhabbat pe fida na kare, Agar kare to zindagi bhar judaa na kare.
Apnon ne maara hai humko Gairon mein kahan tha dum Kashti bhi apni to doohi paani jahan tha kam.

Na teer, na talvaar se ghayal hue hum... Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hum... Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay. Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay.
Chupa chupake raat din aansu bahaana yaad hai, Humko ab tak, Aashiqui ka, Wo Zamaanaa yaad hai.

Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.
Humne kitni koshish ki unhe manane ki, Na Jaana Kaha se seekh li unhone Yeh Ada Zidd par add jaane ki.

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai Main Tanha Gunahgar To Nahi

In Hi Patharon Pe Chal Ke, Aaa Sako To Aao Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi
Kafas Udas Hai yaaro, Subah Se Kuch To Kaho Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-Yaar Chale

Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai
Aaa Sikander-E-Hunar Aaazmayain Tu Teer Aaazmaaa, Hum Jigar Aaazmayain

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon Se Khushbu Aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se
Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

In Main Moti Hai Ke Pathar, Kise Khabar Dil To Samundaron Se Bhi Gahra Hai Dosto
Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi
Yeh hawa ka koi jhonka nahi Teri yaadon ka ek samundar hai

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah
Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki

Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala
Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho Lo raah main takra gaye, allah khair ho

Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum
Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi
Tere Aazad Bande Ki, Na Yeh Duniya Na Woh Duniya Yahan Jeene Ki Pabandi, Wahan Marne Ki Pabandi

Pyar main jadoo bhi kya maza hai Lagta hai ke ek khubsurat saza hai
Tu Aatish-E-Dozakh Se Darata Hai Jin hain Woh Aag Ko Pee Jate Hain Paani Kar Ke

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai
Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain

Jab Kishti Sabit Salim Thee, Sahil Ki Tamanna Kis Ko Thi Ab Aise Shikasta Kishti Main Sahil Ki Tamanna Kaun Karey

Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baag Main Aa Jaane Ka Naam

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain
Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana

Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain
Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti
Jo Aala Zarf Hotey Hain, Woh Sar Kham Hi Rakhtey Hain Suraahi Khud Nagoon Ho Kar Bhara Karti Hai Paimaney

Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum
Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna parta hai Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai...

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali Qadam mila ke jo hamare saath aap chali...
Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya

Khuda kisi ko kis par fidaa na kare, Agar kare to Qyamat tak judaa na kare
Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam , Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai

Mujh se achhe to hai.n teri rah ke pathhar sanam, Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye
Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay. Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay

Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.
Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum

Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi
Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay Magar kya karain apni rahain juda hain

Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai
Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshi Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye ho

Maana ke aapke nazron main kuch nahin hain hum Magar unse jaakar poochiye .. jinhe haasil nahin hain hum
Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala

Aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain Yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain